bahut kuchh kehna tha tumse
(jaahir hai)
jab paas na the tum,
jo kuchh main kah gaya tumse
tumhare paas hokar
wo na thaa mere feharisht mein
jo kahna thaa tumse
(jab paas na the tum).
ye paas ye duri ye kahna ankaha
kitna mahdood kar deti hain
us rishte ko, jo
hai ya thaa ya jo honi chahiye thi
mere aur tumhare
aas paas.
sambandh ya tallukaat
kyon ho jaate hain lakiri hakeekat
ek waseetat darakhta
ya koi shadab silsila
na hokar.
Friday, November 30, 2007
Subscribe to:
Comments (Atom)
